Friday 21 July 2017

Lecture#3 ka Point#79 (Csharp Roman Hindi/Urdu Me).

Functions Signature:

For Example: Kya aik ghar me aik hi naam k 2 log ho saktey hain? jawab hai g haan bilkul ho saktey hain lakin woh is condition me k jab aap k ghar me aap k sath koi doosri family bhi reh rhi ho. Aik choti si Misaal de k main aap ko samjhane ki koshish krta hn k farz kren k maine apna ghar kisi ko rent pe diya hua aur jis ko maine apna ghar rent pe diya hai us ka aur mera naam same hai i.e. "SHUMAIL". Ab mere ghar koi shaks ata hai aur woh kehta hai k "SHUMAIL" ko bula do to mere ghar walo ko kesey pta chaley ga k woh shaks kis "SHUMAIL" ki baat kr rha hai? Woh aese pta chaley ga k us shaks ko "SHUMAIL" k naam k sath kuch makhsoos parameter provide krna pre ga like: "SHUMAIL Software house wala" ya phir "SHUMAIL Textile wala" etc to tb ja k mere ghar walo ko pta chaley ga k woh shaks kis "SHUMAIL" ko bula rha hai kyun k "There is an ambiguous reference between 2 SHUMAIL's". Bilkul is tarha ".NET Framework" me aik class k ander aik naam k 2 functions ho saktey hain lakin in dono functions k parameters change hon  ge. Function me hum jo parameter pass krwatey hain unhey hum signature ya phir function signature kehtey hain.




Functions Signature me 3 cheezey shamil hoti hain.


  1. Number of arguments/parameters.
  2. Type of arguments/parameters.
  3. Arrangement of arguments/parameters.

Hum Number of arguments/parameters, Type of arguments/parameters aur arrangement of arguments/parameters ko change kr den to humara function signature bhi change ho jaye ga. Function ko hum us k signature se pehchane ge. Function signature me agar number of argument, type of argument ya arrangement of argument me se koi aik cheez bhi change ker den ge to function signature change ho jaye ga.

No comments:

Post a Comment