Inheritance means 'warasat' hai. Aesi cheezey jo parent to child(top to bottom) muntakil hoti hain unhey inheritance kehtey hain. Jo child apne parent ki cheezon ko use kr rha hai woh inheritance kehlati hai.
OOP(Object-oriented programming) ko agar aik word me define krna ho to woh hai reuseability. Reuseability inheritance ki wajah se hi possible hoti hai. Agar inheritance na hoti to child apne parent ki cheezo ko reuse nahi kr sakta. Inheritance me child apni parent ki cheezo ko 'As it is' use kr sakta hai ya modify kr k bhi use kr sakta hai.
Agar mere parent k pass car hai to agar mere parent mujhe allow kre ge to yeh car main bhi use krun ga na k parosiyon ka bacha is car ko use kre ga kyun k mere parent k saath main inherited hn, parosiyon ka bacha nahi.
Inheritance me parent ki common cheezey child use kr sakta hai, jesey aik ghar hai parent k naam pe jis me us k child bhi rehtey hain. Inheritance me common cheezey parent k pass hoti hain jab k uncommon cheezey child k pass hoti hain.