Thursday 27 April 2017

Lecture#2 ka Point#73 (Csharp Roman Hindi/Urdu Me).

Property ko hum "get" aur "set" krwa rhey hotey hain. Property ko hum "accessor" bhi kehtey hain("get accessor" ya "set accessor").




Program likhtey waqt proper name convension honi chahiye. Jesey mera naam "Muhammad Shumail Cheema" hai to "Muhammad" mera first name, "Shumail" mera middle name aur "Cheema" mera last name hoga. yeh mera proper naam hai. aesa nahi hoga k mera naam "Shumail123" ho ya phir "Shumail_@" ho. is cheez ko hum proper name convension kehtey hain. Bilkul isi tarha jab developer program bnaye ga to woh apne variables, properties aur functions k naam proper rakhey ga.




Mera naam "Muhammad Shumail Cheema" hai to "Muhammad" ka "M", "Shumail" ka "S" aur "Cheema" ka "C" capital hoga. isey hum "Casing" kehtey hain. Developers ko bhi chahiye k jab woh program likh rhey hon to apne variables, properties aur functions k naam casing k saath likhain. "Muhammad Shumail Cheema" k naam me "pascal casing" use hui hai aur "muhammad Shumail" k naam me "camel casing" use hui hai.



Agar koi code ko dekh k bta de k is ka output kya aye ga to isey hum "Dry Run" kehtey hain. is ka matlab yeh hua k aap apney dimagh ko as a compiler use krtey huvey dimagh me program ka sketch bnao ge aur is ko mad-e-nazar rakhtey huvey program ka output btao ge.



Jab hum project bna k usey compile aur run krwatey hain to yeh aik "Cost" hai. Program ko build krna, Program ko compile krna aur program ko release krna that is a "Cost".



"Dry Run" ko hum "Unit testing" bhi kehtey hain.

No comments:

Post a Comment